Thursday, July 14, 2011

A day in the life of the Snake Family


This is a short story on creatures who have alot of 'fun'...snakes...coz each one is born with one ;P ...so somewhere in the woods of Anagolconda, there lived a funny snake family in an unusually funny old tree. The tree had 3 bums & their name plate read 'Ass-teen ke Saanp'.
So like every morning, Papa Snake has gone to sssschool, where he takes the hissstory class...Mumma Snake's in the kitchen preparing breakfast for Chotusss,& Chotusss, wearing his Harry Potter glasses is busy cleaning his Snike shoe while listening to the Stings.
So just like every day, Mumma Snake starts yelling & rattling to Chotusss, 'Beta!3 glass zeher garam kar diye hain, complan daalke peelo'. Like everytime Chotusss corrects her, 'mumma 3 nahin 1' & there goes our irritated Mumma Snake, 'Chotusss, how many times do I have to tell you that I'm a Naa-gin...& I can't count'. In a jiffy, Chotusss with his naughty smirk ready with his bahana no.ehhhhh..., 'mumma, actually sab wait kar rahe hain, I'm getting late for saanp-seedi, time pe nahin pahucha to 6 no. milega aur koi bhi nahin kutega'. Mumma Snake, ready as always with her comeback, 'waise bhi 6 hi milega, apni length toh dekho... colony ke saare sapole tumhe Sssutli bulate hain. Din bhar saanp-seedi khelne aur perh par latakne se height nahin barhegi...height barhani ho toh roz 10 glass zeher mein 30 chamche complan daalke piyo'... ...And Chotusss, left with no choice would gulp his zeher in a flash & hop out of the house in his Snike.
So as the day proceeds, with no one & no work around, Mumma Snake would get back to her addiction for TV. Dusss Ka Dum, Snake Duje Ke Liye & Sarp-Arosh, being her favourites...and the day would pass lazying around, until Papa Snake arrives. Papa Snake is a romantic serpent... evening quickies are a ritual at 'Ass-Teen'...their favourite is the Rubberband Position which they immensely enjoy summed up by a long French Hisss...'You 'knotty' boy,chalo bas...35 baj gaye hain Chotusss aata hi hoga', & Mamma Snake knows what’s coming...in a flash, Papa Snake just rushes & hides inside the nearest water hose, 'kahan kidhar...oh shit, oh shit, oh shit'...& like every time Mumma Snake would start rolling on the floor, laughing her fangs out!
Papa snake was a big time panicky since he had cracked his egg...between friends he was popular as 'Mr.Hissspanic'. One of his hits being that one day while taking his class the duster fell, & our Mr.Hissspanic ran out screaming, 'it's an earthquake, run for your lives'... Mamma Snake found Papa Snake pretty cute, but nobody could still figure out how Mr.Hissspanic managed to woo the hottest Naa-gin in college!
So coming back to Ass-Teen...just as they settled, we see Chotusss hoping in... 'hey mumma, is pa again hiding under the hose to give me a surprise!' Mamma Snake has nothing to say but to smile & make some chocolate zeher shake for Chotusss...while Sssutli enjoys his choco-zeher, Papa Snake would slowly crawl out of the hose, move towards Chotusss & shout, 'booo'...to which Chotusss with all his calm would turn around, make a face at Papa Snake & all 3 would burst into hissses...
So, there goes another day in the lives of some creatures, which have a lot of ‘fun’!

- Neo

Tuesday, July 5, 2011

Baadal

Baadal ko Sawaal:

'Thamja ae baadal, toh aaj tujhse ruk kar yeh poochoon...

Thamja ae baadal, toh aaj tujhse ruk kar yeh poochoon...

ki kyun apne aasmaan ko parde mein rakhta hai...
kyun chamkte hui un taaron ko, chaand ko aur aftaab ko dhakta hai...'


Baadal ka Jawaab:

'Janaab aapki kuch hi aadaton ko sirhaya hai humne...

Zewar ko ruyee mein mehfooz rakhna, humne aap hi se toh seekha hai'




- Neo

Saturday, April 16, 2011

Maqsad

Zehen ki degh mein,
pakta hua woh har roz ek naya maqsad,
aksar shaam tak pak kar bhi kachcha reh jaata hai...


Nuskhe toh har baar hi naye apnaye,
par natija,
har baar wohi,
jaana pehchana...


Aaj laga ki chulhe mein koela kam tha,
aur intezaam ke baad intezaar kiya shaam ka.
Aaj shaam kaano mein, degh khurachne ki awaaz aayee...


Chalo, kal phir, subha hogi, ek naya nuskha hoga,
aur pet bharne ki nayee ummeed...



Neo

Sunday, April 10, 2011

Analogy to life


Life's a freakin' surprise test,
that falls in the free period,
& is always out of syllabus!


;-)


- Neo

Sochna

Kahan jaa rahe ho, kahan pahunchoge,
bina manzil ke daude jaa rahe ho...
Sochna.


Kuch paana hai, bahut kuch paana hai,
par kitne ka jawaab kyun nahin de paa rahe ho...
Sochna.


Ghar se kabhi baahar nikla karte the pehle,
aaj sirf neend poori karne ki qishtein katwa rahe ho..
Sochna.


Dhakte the khudko, aur khidkiyaan khuli rehtin theen,
aaj pardon ko daaman se chaurha silwa rahe ho...
Sochna.


Jis baat ki mulaqaat, haathon ki galiyon se hokar dost ke kaan mein hoti thee,
usi baat ka aaj ishtehaar bana rahe ho...
Sochna.


Ek daur woh tha, jab mushkilon mein apne saath hote the,
aaj apno se hi mushkilein hain...
Iss baat ko bhi Sochna.


Khushiyan mufat mein mila karti theen ek zamaane main,
aur aaj har khushi ko jeb se nikaal rahe ho...
Sochna.


Aziz ka saath nibhana eham hua karta tha,
ab, usi baat mein aham hai...
Yeh bhi Sochna.


Kahan jaa rahe ho, kahan pahunchoge,
bina manzil ke daude jaa rahe ho...
Sochna.


- Neo

Lateefa

Khuda ne lateefa likha,
naam mera de diya...


Kuch gum sa rehta tha,
shayad insaan pe sharminda tha,
par thahaake na bhool jaane ka yeh kaisa kaam de diya...


Khuda ne lateefa likha,
naam mera de diya...


Magar kaam toh barha hi nek hai,
ussey khush rakhne ki dekh-rekh hai,
par jannat kamane ka yeh barha mushkil kaam de diya...


Khuda ne lateefa likha,
naam mera de diya...


Kai arsey se toh saza lagti thi yeh,
uski apni haalat jaanke ab mazaa aane laga hai,
chalo isi bahaane usne mujhpar gaur farma diya...


Khuda ne lateefa likha,
naam mera de diya...


- Neo

Koi Baat Nahin

Mehboob ke rumaal par imaan liya toh farhaad,
aur patthar se khuda yaad kiya, toh hum kaafir ho gaye.
Koi baat nahin...


Dhaagon se fariyaad kari to sawaali,
aur hamne kalayee par baand, liyeh toh kaafir ho gaye.
Chalo koi baat nahin...


Zarde par fatiyah deke baata to sawaabi,
aur seedhe haath se laddoo chakh liya, toh phir kaafir ho gaye.
Koi baat nahin...


Zubaan samjhi nahin par mulla ko qalme saare yaad hain,
aur hamein kisi shlok ke maene pata hain, toh mian phirse kaafir ho gaye.
Bhai, koi baat nahin...


Zer, zabar aur nuqton ne mazhab chune,
kyunki rehan, kamaal, umar, amaan hue toh momin,
par rohan, kamal, amar, aman huye to janaab phir kaafir ho gaye.
Koi baat nahin!


- Neo

Khamoshi

Meri khamoshi ko,
beparwahi ka khitaab mat dena...

Meri khamoshi ko,
beparwahi ka khitaab mat dena...

pukhta rishton mein,
jazbaaton ko baaton se 
kamzor nahin kiya karte.

- Neo

Ummeed

Mujhse ummeed nahin,
mann lagane mein munafa hoga...

Mujhse ummeed nahin,
mann lagane mein munafa hoga...

Aksar mann ke jhunjhune,
ummeed ki gond se saste bika karte hain...


- Neo

Jawaab

Manzil ko jaati,
uss mit ti hui pakhdandi ne,
aaj apna sawaal poocha hai...


Manzil ko jaati,
uss mit ti hui pakhdandi ne,
aaj apna sawaal poocha hai...


Kaash, mere kamre ki woh kori chhat phir dikh jaati,
jahaan aksar jawaab mila karte the...


- Neo

Friday, February 25, 2011

When she met my mom...for us!



Aaj kai dino baad, neend tooti nahin khuli thi...


shayad sapno bhare gullak ki woh gumshuda chabi, koi takiye ke neeche rakh gaya tha...

;-)


- Neo