Sunday, April 10, 2011

Sochna

Kahan jaa rahe ho, kahan pahunchoge,
bina manzil ke daude jaa rahe ho...
Sochna.


Kuch paana hai, bahut kuch paana hai,
par kitne ka jawaab kyun nahin de paa rahe ho...
Sochna.


Ghar se kabhi baahar nikla karte the pehle,
aaj sirf neend poori karne ki qishtein katwa rahe ho..
Sochna.


Dhakte the khudko, aur khidkiyaan khuli rehtin theen,
aaj pardon ko daaman se chaurha silwa rahe ho...
Sochna.


Jis baat ki mulaqaat, haathon ki galiyon se hokar dost ke kaan mein hoti thee,
usi baat ka aaj ishtehaar bana rahe ho...
Sochna.


Ek daur woh tha, jab mushkilon mein apne saath hote the,
aaj apno se hi mushkilein hain...
Iss baat ko bhi Sochna.


Khushiyan mufat mein mila karti theen ek zamaane main,
aur aaj har khushi ko jeb se nikaal rahe ho...
Sochna.


Aziz ka saath nibhana eham hua karta tha,
ab, usi baat mein aham hai...
Yeh bhi Sochna.


Kahan jaa rahe ho, kahan pahunchoge,
bina manzil ke daude jaa rahe ho...
Sochna.


- Neo

No comments: