Wednesday, July 11, 2012

Tabarruk

Aaj subha neend khuli, aur roshandaan ko sote dekha,
Laga shayad aankhein utaavli theen,
par thodi der ki kashmakash ke baad chappalein pehen leen.


Baramdeh mein pahucha toh dekha aaj khuda ne parda kiya hua hai,
Khushboo bata rahi hai ki upar fatiah ka mahaul hai.
Deewarein nam hain, gharhe mein paani aaj thanda mila,
aur kayee dinon baad taar par faakhta sukoon mein bethi hai.


Hafte ke beech mein, aaj zindagi ka itwaar lag raha hai,
aur kisi intezaar mein, sab theher kar aasmaan tak rahe hain.
Chalo isi bahane logon ko kai dino baad, sar uthane ka mauka toh mila.
Kuch ummeedein poori hongi aaj shayad


Achanak baadalon ne fatiah khatm hone ka ek karhakta elaan kiya,
Aur tabarruk ki firaaq mein har ghar ki khidkiyon se haath dikhne lage,
Ek haath maine bhi barhaya, aur ek ummeed meri bhi poori hui.




- Neo

No comments: