Saturday, April 16, 2011

Maqsad

Zehen ki degh mein,
pakta hua woh har roz ek naya maqsad,
aksar shaam tak pak kar bhi kachcha reh jaata hai...


Nuskhe toh har baar hi naye apnaye,
par natija,
har baar wohi,
jaana pehchana...


Aaj laga ki chulhe mein koela kam tha,
aur intezaam ke baad intezaar kiya shaam ka.
Aaj shaam kaano mein, degh khurachne ki awaaz aayee...


Chalo, kal phir, subha hogi, ek naya nuskha hoga,
aur pet bharne ki nayee ummeed...



Neo

Sunday, April 10, 2011

Analogy to life


Life's a freakin' surprise test,
that falls in the free period,
& is always out of syllabus!


;-)


- Neo

Sochna

Kahan jaa rahe ho, kahan pahunchoge,
bina manzil ke daude jaa rahe ho...
Sochna.


Kuch paana hai, bahut kuch paana hai,
par kitne ka jawaab kyun nahin de paa rahe ho...
Sochna.


Ghar se kabhi baahar nikla karte the pehle,
aaj sirf neend poori karne ki qishtein katwa rahe ho..
Sochna.


Dhakte the khudko, aur khidkiyaan khuli rehtin theen,
aaj pardon ko daaman se chaurha silwa rahe ho...
Sochna.


Jis baat ki mulaqaat, haathon ki galiyon se hokar dost ke kaan mein hoti thee,
usi baat ka aaj ishtehaar bana rahe ho...
Sochna.


Ek daur woh tha, jab mushkilon mein apne saath hote the,
aaj apno se hi mushkilein hain...
Iss baat ko bhi Sochna.


Khushiyan mufat mein mila karti theen ek zamaane main,
aur aaj har khushi ko jeb se nikaal rahe ho...
Sochna.


Aziz ka saath nibhana eham hua karta tha,
ab, usi baat mein aham hai...
Yeh bhi Sochna.


Kahan jaa rahe ho, kahan pahunchoge,
bina manzil ke daude jaa rahe ho...
Sochna.


- Neo

Lateefa

Khuda ne lateefa likha,
naam mera de diya...


Kuch gum sa rehta tha,
shayad insaan pe sharminda tha,
par thahaake na bhool jaane ka yeh kaisa kaam de diya...


Khuda ne lateefa likha,
naam mera de diya...


Magar kaam toh barha hi nek hai,
ussey khush rakhne ki dekh-rekh hai,
par jannat kamane ka yeh barha mushkil kaam de diya...


Khuda ne lateefa likha,
naam mera de diya...


Kai arsey se toh saza lagti thi yeh,
uski apni haalat jaanke ab mazaa aane laga hai,
chalo isi bahaane usne mujhpar gaur farma diya...


Khuda ne lateefa likha,
naam mera de diya...


- Neo

Koi Baat Nahin

Mehboob ke rumaal par imaan liya toh farhaad,
aur patthar se khuda yaad kiya, toh hum kaafir ho gaye.
Koi baat nahin...


Dhaagon se fariyaad kari to sawaali,
aur hamne kalayee par baand, liyeh toh kaafir ho gaye.
Chalo koi baat nahin...


Zarde par fatiyah deke baata to sawaabi,
aur seedhe haath se laddoo chakh liya, toh phir kaafir ho gaye.
Koi baat nahin...


Zubaan samjhi nahin par mulla ko qalme saare yaad hain,
aur hamein kisi shlok ke maene pata hain, toh mian phirse kaafir ho gaye.
Bhai, koi baat nahin...


Zer, zabar aur nuqton ne mazhab chune,
kyunki rehan, kamaal, umar, amaan hue toh momin,
par rohan, kamal, amar, aman huye to janaab phir kaafir ho gaye.
Koi baat nahin!


- Neo

Khamoshi

Meri khamoshi ko,
beparwahi ka khitaab mat dena...

Meri khamoshi ko,
beparwahi ka khitaab mat dena...

pukhta rishton mein,
jazbaaton ko baaton se 
kamzor nahin kiya karte.

- Neo

Ummeed

Mujhse ummeed nahin,
mann lagane mein munafa hoga...

Mujhse ummeed nahin,
mann lagane mein munafa hoga...

Aksar mann ke jhunjhune,
ummeed ki gond se saste bika karte hain...


- Neo

Jawaab

Manzil ko jaati,
uss mit ti hui pakhdandi ne,
aaj apna sawaal poocha hai...


Manzil ko jaati,
uss mit ti hui pakhdandi ne,
aaj apna sawaal poocha hai...


Kaash, mere kamre ki woh kori chhat phir dikh jaati,
jahaan aksar jawaab mila karte the...


- Neo